Ibteda

haiN aur bhee duniya meiN suKHanwar bohot achche
kehte haiN ki ‘GHalib’ ka hai andaaz-e-bayaaN aur

Balli maarhah ke mahalle ki wo pechida daleeloN ki see wo galiYan
saamne Taal ke nuKkad pe baTeroN ke posheede
guD-guDaati hui paaN pi peekoN meiN wo daad wo waH-waH
chand darwaaze par laTke huye boshida se kuch TaaT ke parde
ek baKri ke mamiyaane ki awaaZ
aur dhoondhlaayi huyi shaam ke be-noor andhere
aise deewaroN se mooH joD kar chalte haiN yahaN
chuDi-waala unke katri ke badi bee jaise
apNi boojHti hui aaNkhoN se darwaaze TaTole
aisee be-noor andheri see gali qaasim se
ek quran-e-sukhan ka safa khulta hai
asad allah Khan ‘GHalib’ ka patha milta hai.

har ek baat pe kehte ho tum ke ‘too kya hai’?
tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?
[ guftgoo = conversation ]

ragoN meiN dauDte firne ke ham naheeN qaayal
jab aaNkh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai?

chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai?
[ pairaahan = robe/cloth, haajat = need/necessity, rafoo = mending/darning ]

jalaa hai jicm jahaaN dil bhee jal gaya hoga
kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai?
[ justjoo = desire ]

rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
to kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai?
[ guftaar = speech/discourse ]

Shaayad yahi hai Ibteda